Header Ads Widget

Responsive Advertisement

How to Book Movie Tickets Online on BookMyShow App. कैसे मुवी टिकट बुक करे।




To aaj ke iss blog main apko bataoonga ki aap kaise online movie ticket book kar sakte ho , orr iske liye apko kisi movie ticket counter main nahi jana hai, orr nahi ticket book karne ke liye ghanto bhar line main khada hona hai. To chalye online movie ticket book karte hai.


Movie-Ticket बुक करने के लिए आपके पास नीचे दिऐ चीजे होने चाहिए।


 ●apke pass email/gmail id hona chahiye
 ●ek mobile n. jo apke pass ho or activate 
internet banking ki suvidha, debit/credit ATM card, UPI ityaadi main ek hone chaiye.


मुवी टिकट कैसे बुक करेःः


Sabse pahle apko  play store se ek app install karna hai ,jis app ka naam BookMyShow hai, simply play store main jaye orr search kare BookmyShow apko 1st main hi wah app mil jayega apko uss app ko install kar lena hai.

●orr uss app ko open kijye , open hone ke baad apko language select karna hai. apko jo achha lage uss language ko select karna hai, orr get's started main click kar dena hai.

●Uske baad apko uss app main login hona hoga hai,orr iske liye do option diye gaye hai . facebook orr Google ya Facebook login ,apko dono main kisi ek se login kar lena hai .




● agar apke pass facebook ya google main account hi nahi hai to, apko sign up main click karna hai, phir apko mobile n. dalna hai,orr sign up main click karna hai

●phir se apko do option dekhne ko milega ,Use SMS orr Use whatsapp. , apko kisi ek ko select kar lena hai , jisme aap OTP lena chate hai . Agar aap OTP SMS main lena chate hai to" use SMS" ko select kare orr agar whatsapp main to "use whatsapp" ko select kare.


●Jo apne select kiya hai , SMS ya Whatsapp main OTP aayega , apko simply copy karna hai, wanha bhar paste yaani bhar dena hai.
bilkul iss tarah:-



● bharene ke baad apko continue ke nile botton main click kar dena hai, ab aap BookMyShop ke app main login ho jayege.

●fir apko wanha movie select karna hai, jiska aap ticket book karna chate hai.select karne ke baad apko sabse uper uss movie ka trailer dekhna ko milega, aap simply uss par tap karke uss trailer ko dekh sakte ho. orr uske baad uss movie ke description , review orr details dekhne ko bhi mil jaayenge, apko thoda scroll down karke nicha jana  hai, orr Book ticket main click karna hai.



●Phir apko date select karna hai , jis date ko aap iss movie ko dekhna chahte ho. uske baad apke nazdik local cinema gharo ki ek list aa jayega , list ke sath sath apko uss cinema ghro ki time table bhi mil jayega. apko apne nazdiki cinema ko khoj lena hai ,



●orr uske par time click karna hai ,  jis time ko aap uss movie ko dekhenge. uske baad apke samne ek pop up page khulega , jisme apko accept wale option main click kar dena hai.



●uske baad apko ticket select kar lena hai, aap jitna ticket book karna chahte hai, apko book kar lena ,jaise ki agar apko ek ticket book karna hai to 1 main click karna hai, orr do ticket book karna hai , to 2 par click karna hai.Uske baad apko select seats main click kar dena hai.

●uske baad uss cinema ghar ki sheets aa gayegi  , apko sheet select kar lena hai , janha aap bethenge orr apke rent ke hisab se tik hi. ek baat or jo sheet dark nazar aa rahi hai , wo sheet book hoti hai. Sheet select karne ke baad Pay par click kar dena hai .

●Apke samane ek windows khulega , jisme apko E-mail id ya gmail id dalna hai  or mobile n. dalana hai, waise to mobile n. redirect ho jata hai. uske baad apko Done par click kar dena hai.

●Ab apko payment pay karana hoga , or payment dene ke liye bohat sare options diye gaye hai, Net banking , Debit/Credit card , UPI  . apko koi ek payment method se pay kar dena hai .(payment karte galat sawdhani barte.)



●Payment pay hone ke baad apko uss cinema ka ticket dekhne ko mil jayega orr uske niche QR code bhi mil jayega apko screenshot le lena hai .



Bus apka ticket book ho gaya hai , orr jab uss movie ko dekhne ke liye cinema ghar main jaoge apko uss screenshot ko yaani QR code scan karna hoga , jo apne liya tha.
To yeh aplogo ko kaisa laga , comment kare
#Twitter#Facebook Ya #Instagram ,main hamain follow kare.

follow kare:-

Post a Comment

0 Comments