Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Wifi Calling Kaise Kare?

Kuchh dino pahle jio ne apna free wifi calling feature ko luanch kar diya hai orr aaj hum log ye janege ki kaise aap free jio wifi calling ka maza le sakte hai main hu bablu kr saw or hamre website itechmamu apka sawagat hai to chaliye suru karte hai

Finally Jio ne apna free wifi calling features ko launch kar diya hai par iss se pahle airtel ne Free WiFi Calling Features ko launch kar diya tha orr aaj me apko bataunga ki kaise Jio Aur Airtel se aap free wifi calling kar sakte hai . Free Wifi Calling Se Related sare questions ko bhi explain karunga.

Jio Aur Airtel Se Free Wi-Fi Calling Kaise Kare?


To sabse pahle ye check kar le ki apke smartphone me wifi calling ka features diya hai ya phir nahi to sabse pahle apne smartphone ke settings me jana hai jaha apko sim setting par click kar dekh le ki WiFi calling ka features hai ya nahi .
Bohat se smartphone me wifi calling ka feature connection par diya hota hai jaha apko setting me ja connection par click kar dekh le ki wifi calling  features available hai ya phir nahi . Different different smartphone me wifi calling check karne ke liye different different tarke hote hai agar apko janana hai to apne setting me puri tarah se check kare .

Kon Se Smartphone Me Wi-Fi Calling Features Available Hai :-
1.Apple
2.Coolpad
3.Samsung 
4 infinix
5.oppo
6.vivo
7.google 
8.

Agar apke pass uper diye gaye list me se apka smartphone ho to simply setting par ja kar wifi calling enable kar de.

Uske baad kisi wifi network se connect ho jaye jisme internet recharge ho uske baad apne smartphone ke call app ko open kare orr jisko aap call karna chahte hai uss par click kar de automatic wifi calling ho jayega.

Wifi calling laga hai ya nahi ye janane ke liye apko waha wifi calling ka LOGO dekhne ko mil jayega.

Wi-Fi Calling Ke Kya Fayde Hai?

India me bohat se yese jagah hai jaha Network Milna muskil hota hai khas kar village me lekin agar waha wifi hai to wifi calling aap aram se kar sakte hai orr iske liye apko network par depend nahi hona padega. 

Agar apke pass voice calling ka recharge yaani voice calling top up nahi hai to wifi calling se aap kisi se bhi baat Kar sakte .

Wi-Fi Calling Se Jude Apke Questions.

#1 Kya Wi-Fi Calling Normal Network Par Jayega?
To Apko bata du ki wifi calling uske wifi se connect smartphone me hi jayega .jaise hum whatsapp me internet ke throw voice calling karte hai.

#2 Wifi Calling Karne Se Kya Extra Charge Lagega?
Jio ne saaf kah diya hai ki wifi calling ke liye koi extra charge ya recharge nahi karna padega . Lekin ha wifi calling se apke wifi board band se internet katega .

#3 Kya Wifi Calling Karne Ke Liye WiFi Router Recharge hona Chahiye?
To Ji ha Bina recharge ke aap wifi calling nahi kar sakte hai


#4 Kya Wifi Calling HD Voice Me Hogi?
Wo apke wifi connection par depend karta hai agar apka wifi 2mb/s uper internet speed deta hai to I'm sure He voice jaisi quantity apko mil jayegi agar kaam deta hai to HD voice ka aanad nahi utha payenge.

#5  1 Minute Wifi Calling Karne Me Kitna Internet kharch hoga?
Utna saaf to malum nahi par 1 minute me 1MB se 2MB tak internet kharch ho sakta hai.


To ye blog apko kaisa laga hame comment kare jaha agar iss se judi kuchh jankari chahiye ya koi samsya ho rahi to hame iss gmail 👉khenichunetigrd@gmail.com par mail kar sakte hai jaha niche comment section me hame comment kar sakte hai 

Mera request hai ki agar apko ye achha laga to apne dosto ko bhi share kare taaki wo log bhi wifi calling ka maza le sake . orr hamre social site Facebook , Instagram , Aur Twitter per follow kare.

Post a Comment

0 Comments