Agar Aap Smartphone Use Karte Hai To Aap Jante Hoge Ki Hamre Smartphone Me Gmail Ka Kya Mahtav Hai Agar Hamre Smartphone Me Gmail Account Na Ho To Bohat Yese Kaam Hai Jo Hum Apne Smartphone Me Nahi Kar Sakte Hai Jaise Hum Play Store Se App Install Nahi Kar Sakte , YouTube Par Video Upload Nahi Kar Sakte Bohat Yese Kaam Hai Jo Bina Gmail Ke Nahi Kar Sakte.
Issliye Har Kisi Ke Pass Apna Gmail Account Jarur Hota Hai . Lekin Gmail Ke Space Ka Dhayan Nahi Rakhte Jiske Karan Unn Logo Ko Badi Problem Ka Samna Karna Padta Hai.
Orr Iska Karan Yahi Hai Ki Wo Log Faltu Mail Ko Delete Nahi Karte Hai Aur Uss Gmail Ko Bhejhne Wale Ko Block Nahi Karte Hai Jiske Karan Wo Mail Par Mail Bheje Hi Jata Hai Aur Hamra Space Bhar Jata Hai Aur Jiske Karan Important Mail Bhi Hamre Gmail Par Nahi Mil Pata Hai . To Ajj Ke Iss Blog Hum Ye Janne Wale He Ki Kaise Hum Apne Gmail Se Faltu Mail Ko Kaise Delete Kare Or Kaise Block Kare To Chaliye Suru Karte Hai
Mail Ko Kaise Delete/Block Kare?
To Sabse Pahle Ye Jaan Lete Hai Ki Faltu Mail Ko Kaise Delete Karte Hai To Apne Gmail App Ko Open Kar Le Uske Baad Apko Jis Mail Ko Delete Karna Hai Uss Par Lagatar Dabaye Rakhe Uske Baad Apko Jis Jis Mail Ko Delete Karna Hai Simply Usme Cilck Kar Select Kar Le Uske Baad Apko Uper Delete Ke Logo Par Click Kar De Wo Mail Delete Ho Jayega .
Gmail Bhejne Wale Ko Block Kaise Kare:-
To Sabse Uss Mail Par Ko Open Kare Jinhe Aap Block Karna Chahte Hai .
Uske Baad Apko Waha unsubscribe ka option Dekhne Ko Milega Uss Par Simply Click Kar De Ab Apko Waha Se Dusre Jagah Redirect Kar Dega Page Load Hone Ke Baad Apko Waha Kuchh Iss Taraha Ka Show Hoga Jo Niche Tasvir Me Hai .
Ab Wah Block Ho Gaya Hai Issi Tarah Jis Jis Ko Block Karna Hai Block Kar Sakte Ho.
Block Kiye Gaye Mail Ko Kaise Read Kare
To Gmail App Ko Open Kar Le Ab Apko Uper Bayi Aur Three Line Par Click Karna
Toda Niche Jana Hai Ab Apko Spam Par Click Karna Hai Ab Apko Wahi Saari Block Huyi Mail Mil Jayegi Simply Click Kar Read Kar Sakte Hai
Toda Niche Jana Hai Ab Apko Spam Par Click Karna Hai Ab Apko Wahi Saari Block Huyi Mail Mil Jayegi Simply Click Kar Read Kar Sakte Hai
Delete Mail Ko Read Karne Ke Liye Apko Waha Trash Par Click Karna Hai Uske Baad Sabhi Delete Mail Wahi Apko Mil Jayegi .
Faaltu Mail Kaha Se Aata Hai
Apne Kya Socha Hai Ki Yah Mail Kaha Se Aata Hai To Bohat Yese Karan Hai To Chaliye Wo Karan Batate Hai .
To Pahla Karan Hum Apna Gmail Agar Kisi Website Ko Dete Hai To Apne Blog ke Alert Dene Ke Liye Mail Bhejh Dete Hai
Hum Kisi App Me Sign in Hone Ke Liye Apna Gmail Dete . Wahi App Kuchh Alert Dene Ke Liye Apko Mail Dete Hai
Orr Bohat Yese Website/App Hai Jaha Hum Apna Gmail Dete Hai Par Hamlogo Ka Gmail Wah Website Dusre Company Ko Bech Dete Hai Jiske Karan Unn Companiyo Se Faltu Mail Aate Hai .
Issliye Hame Apna Gmail Har Kisi Ko Nahi Dena Chahiye Gmail Usse De Jo Apke Ke Liye Faydemand Ho .
--------------------------------------------------------
Final Word:-Agar Apko Iss Chhoti Si Kosis Achha Laga To Hame Comment Kare Aur Hamre Blog Ka Alert Pane Ke Liye Hame Apna Gmail Ya Email De Sakte Hai. Orr Iss Blog Ko Apne Dosto Ke Sath Share Kare.
Orr Hamre Social Site Ko Follow Kare:-
Facebook:-https://www.fb.com/itechmamu
Twitter. :-https://m.twitter.com/itechmamu
Instagram:-https://m.instagram.com/itechma
0 Comments