Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Facebook Account Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye

Hello Guys , To Aaj Ke Blog Hum Log Ye Janne Wale Hai Ki Facebook Account Ko Hack Hone Se Kaise Bachate Hai Or Kin Kin Galtiyo Ke Karan Hamra Facebook Account Hack Ho Jata Hai Aur Ye Bhi Janege Ki  Facebook Account Ko Kaise Hack Kiya Jata Hai Aur Kisi Hacker Ne Apke Facebook Account Ko Hack Kiya Hai To Uss Hacker Ka Kya Fayda Ho Sakta Hai . Aaj Hum Inn Topics Me Baat Karenege Aur Solution Bhi Denge To Chaliye Suru Karte Hai.


Facebook Account Ko Hack Kaise Kiya Jata Hai.

To Sabse Pahle Ye Jaan Lete Hai Ki Facebook Account Kaise Hack Hota Hai To Chaliye Jante Hai Bohat Se Log Hai Jo Apne Facebook Account Ka Password User ID Ko Private Nahi Samjhate Aur Apne Dosto Ke Sath Facebook Password User ID Share Kar Dete Hai Lekin Yesa Nahi Karna Chahiye Jaise Hum Apne ATM Ka Pin n. Cvv Ko Private Rakhte Hai Waise Hi Hame Apne Facebook Ka User ID Aur Password Private Rakhna Chahiye Kisi Ko Bhi Facebook User ID Password Nahi Batana Chahiye Aur Galti Se Agar Apke Dost Log Apke User ID Aur Password Jaan Leta Hai To Turant Facebook Password Change Kar Dena Chahiye Taaki Apke Dost Log Apke Facebook Ko Login Na Kar Sake .



Aur Bohat Se Yese Log Hai Jo Facebook App Ka Use Nahi Karte Ve Log Browser Se Facebook Ke Website Se Facebook Chalte Hai Lekin Internet Me Apko Bohat si Website Mil Jayegi Jo Facebook Ka Duplicate Website Hai Jisme Aap Apna User ID , Password Dete Hai Lekin Me Apko Bata Du Ki Jab Aap Apne Facebook Ka User ID Aur Password Unn Website Me Dete Hai To Apke Password Aur User ID Ko Apne Database Me Save Kar Lete Hai Jo Baad Me Apke Facebook Account Ko Hack , Login Kar Sakte Hai Aur Apke Facebook Ka Galat Use Kar Sakte Hai Aur Yessi Website Khas Kar Hacker Duara Nirman Ki Hoti Hai . IssLiye Hame Facebook Chalane Ke Liye Facebook Ke official Website Ka Use Karna Chahiye .

Ab Jante Hai Ki WhatsApp ,Gmail Aur Jitne Bhi Social Site Hai Uske Duara Apka Facebook Account Hack Kiya Ja Sakta Hai Wo Kaise To Chaliye Apko Batate Hai . Hacker Social Site Duara Apko Message Ya Mail Dura Ek Link Bheja Jata Hai Aur Wo Mail Ya Message Itna Attractive Hota Hai Ki Ab Uss Link Par Click Kar Doge Example Ke Taur Par "Miss Puja Facebook Me Available Hai Aur Wo Apse Messenger Me Baat Karna Chahti Hai Agar Apko Baat Karna Hai To Niche Diye Gaye Link Par Click Kate" Or Jaise Hi Aap Uss Link Par Click Karenge Apke Samne Facebook Login Hone Ka Page Aa Jisme Apse User ID Password Liya Jayega Aur Jaise Hi Aap Apna User ID ,Password Fill Kar Login Par Click karenge .To Waha Show Hoga Ki Apka Password Worng Hai Ya Phir Wah Login Page Cut Jayega . Aur Apke Facebook Account Ka User ID Aur Password Uss Hacker Ke Pass Chala Jayega Aur Apke Facebook Hack Kar Lega . Aur Jab Aap Next Time Facebook Ko Chalane Ke Liye Facebook Par Jawoge To
Apse User ID Aur Password Liya Jayega Aur Jab Aap Apne Facebook Ka User ID Aur Password Fil Kar Login Par Click Karenge To Apko Ek Error Show Hoga Jisme Likha Hoga Ki Apka User ID Aur Password Galat Hai To Aap Samajh Jaye Ki Apka Facebook Account Hack Chuka Hai . Issliye Hame Iss Tarah Ke Mail Aur Message Ko Egnore Karna Chahiye.



Agar Hacker Apka Facebook Account Hack Karna Chahe Bina Apke User ID Aur Password Jane Bhi Apka Facebook Account Hack Kar Sakta Hai .Ab Rahi Baat Ki Facebook Account Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye To Facebook Me Kuchh Settings Hai Jinhe Karne Se 60% Apka Facebook Account Secure Rahega Agar Apko Wo Settings Karna Hai To Niche Diye Gaye Step Ko Follow Kare.

Facebook Account Ko Secure Kaise Kare?


Step1:-To Sabse Pahle Apko Facebook App Ko Open Kar Lena Hai Agar Aap Login Nahi Hai To Facebook Me Login Ho Jaye . Uske Baad Apko Right Uper Ki Aur Three Line Par Click Karna Hai Uske Baad Page Ke Niche Jana Hai Jaha Apko Settings & Privacy  Par Click Karna Hai Uske Baad Apko Settings Par Click Karna Hai .Ab Apko Kuchh Iss Tarah Ka Interface Dekhne Ko Milega Jo Niche Diya Hai

 
Step2:-Uske Baad Page Ko Thoda Scroll Yaani Page Ke Niche Jaye Ab Apko Waha Rukna Hai Jaha Apko Security Dekhne Ko Milega Uske Baad Apko Security And Login Par Click Karna Hai .

Step3:- Ab Apko Ek Page Khul Kar Aayega Apko Uss Page Ke Niche Jana Hai Jaha Apko Settings Up Extra Security Ko Dekhne Ko Milega Just Uske Niche Apko 3 Option Dekhne Ko Milega 

Step4:-Jisme Apko Get Alerts about unrecognised logins Par Click Kare Uske Baad Apko Waha Three Options Dekhne Ko Milega (1)Notification (2) Messenger (3) Email

Step5:-Ab Apko Notification Par Click Karna Hai Uske Baad Get Notification Ko Select Kar On Kar De Aur Save Par Click Kare De

Step6:-Issi Tarah Apko Messenger Aur Email Me Bhi Get Notification Ko On Kar De.

Iss Setting Se Apka Facebook To Secure Nahi Hoga Par Jab Koi Vaykti Apke Facebook Par Login Hoga To Apko Message , Messenger Ya Phir Email Duara Alert Mil Jayega Ki Apka Facebook Ko Koi Dusra Chala Raha Hai Aur Turant Hi Aap Apna Facebook Password Aur User ID Change Kar Apne Facebook Ko Secure Kar Sakte Hai .




Facebook Account Hack Hone Se Kya Nuksaan Hai?


1.Jab Apka Facebook Account Hack Ho Jayega Ya Phir Apka User ID  Aur Password Jaan Lega To Apke Pure Facebook Par Uska Control Ho Jayega.Kahne Ka Matlab Apka Profile Change Kar Sakta Hai Name Change Kar Sakta Hai Koi Post Dal Sakta Hai.

2.Ap Jitne Bhi Messenger Me Chat , Message , Video Calling Karenge Wah Vaykti Dekh Sakta Hai Aur Kar Bhi Sakta To Aap Samjh Gaye Hoge Ki Facebook Ke Sath Sath Apka Messenger Bhi Hack Ho Jayega .

3.Sabsi Badi Problem Yah Hai Ki Apse Pahle Uss Vaykyi  Ne Facebook Password Change Kar De To Aap Facebook Par Login Nahi Ho Payenge.


Final Word:- To Aaj Ke Liye Bus itna Hi Agar Apko Settings Karne Me Kuchh Problem Hoti Hai To Hame Comment Kar Sakte Hai Agar Apka Facebook Account Hack Ho Gaya Hai To Hamse Contact Kare .


Aur Hamre Social Site Ko Follow Kare :-



Post a Comment

0 Comments