Hamre smartphone me bohat se yese application hote hai jo pahle se hi install hota par hum unn sabhi application ka use nahi karte hai unn sabhi application me Google Hangout App hai jinka use hum nahi karte hai lekin yah application bohat hi kam ka hai hum chat messages,video/voice calling karne ke liye whatsapp ka istemal to jarur karte honge lekin wahi kam hum Google Hangout me kar sakte hai lekin main ye nahi kahta hu ki whatsapp app ka use na karo isse bhi use karo or Google Hangout ka bhi use karo kyuki Whatsapp me bohat hi advance application hai or Google Hangout google ka application hai isliye isse bhi use karna chahiye.
Google Hangout Ka Use Kaise Kare?
Internet connection ko enable kar le uske baad apne smartphone me check kare ki Google Hangouts app apke smartphone me install hai ya phir nahi .Agar install hai to play store me ja kar Google Hangouts ko update kar le or agar apke smartphone me Google Hangout install nahi hai to play store me ja kar upper search kare"Google Hangout" apko First rank me yah app dekhne ko milega simply usme click kare ab apko install par click kar dena hai Google Hangout application install ho jayega .
1 Ab Google Hangout ko open kare uske baad waha apko sign in hone ke liye apko apna gmail select kar lena hai.
2Uske baad "skip" ya phir Next par click kare.
3apko ek pop up tab "Allow Hangouts to access your contacts?" ke niche "Deny" Or "Allow " dekhne ko milega apko "Allow" par click kar dena hai.
4Uske baad Google Hangouts ke main page me chal jayenge ab apko waha niche ke right kone me plus ➕ ka icon dekhne ko milega simply usme click kare.
Phir "New Conversation" par click karna hai.
5Ab apko waha sare contacts mil jayega or koun koun se log Google Hangouts par hai apko "On Hangouts" ke niche mil jayega .Or jo Google Hangout par nahi hai wo apko "Not on Hangouts" ke niche mil jayenge jo log Google Hangouts par nahi hai unke smartphone me Google Hangouts ko install karwa sakte hai .uske baad apko wah log "On Hangouts" ke niche dekhne ko milega simply usme click kar aap chats messages, video calling, or photos ,video ko share kar sakte .
Google Hangout or Whatsapp me kya difference hai?
Google Hangout Application google ka khud ka application hai jaha whatsapp ka alag platform hai.
Whatsapp me bohat se features dekhne ko milta hai par wahi Google Hangouts me kuch khas features to nahi hai par wahi aage aane wale time me Google apne application Google Hangout me kuch features ko update kar sakta hai.
Baki dono application kam same hi karta jaise hum whatsapp me chat messages, voice calling, video calling or photos, videos ko send karte hai wese hi Google Hangout me bhi chat, video calling, voice calling or file ,photo, video ko bhi send kar sakte hai.
Also Read:
Google Hangout Use Karne Ke Kya Benefits Hai
Whatsapp application bohat famous application hai jiske karan bacha bacha iss App ke bare me janta hai or hum apne girlfriend ya phir ladikiyo se chat messages whatsapp se hi karte hai to jahir hai ki koi bhi banda ya phir apke dost agar apka smartphone lele to pahle whatsapp ko Open kar apke chat messages ko dekh lega kyuki wah janta hai ki whatsapp se hi chat messages hota hai .To agar aap chahte hai ki apke private chat messages koi dusra na dekhe to aap Google Hangout ka use kar aap apne chats ko private kar sakte hai kyuki Google Hangouts ke bare me sayad kuch hi log jante hai. Issliye Google Hangout application ka use him private chats karne ke liye kar sakte hai.
Thank you hamre website itechmamu me vist karne ke liye .Or apse ek request hai hamre instagram ,id @itechmamu ,Facebook or hamre Twitter ko jarur follow kare .
0 Comments