Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Google Map Kaise Use Kare?|Google Map Full Tutorial in Hindi.

Google Map Har kisi ke smartphone me install hota hai par sayad kuch hi log iss application ka use karte hai or kuch yese log hai jinhe google map ka use karna hi nahi aata hai. To aaj hum apko ye batayege ki kaise aap Google Map ka use kar sakte ho Or Google Map ka use kar aap ek jagah se dusre jagah kaise ja payenge , Map se traffic se kaise bach sakte hai Or Map ka use kar aap kaise rasta find kar sakte ho inn se jude sare topics par ajj hum baat karenge .

Google Map Ka Use Kaise Kare ?
Generally har kisi ke smartphone me Google App pahle se hi install hota hai or agar apke smartphone me Google Map install nahi hai play store se aap google map ko install kar le or agar pahle se hi install hai to play store se google map ko update kar le.

Ab rahi baat google map ka use kaise karte hai to me apko bata du ki Google Map ka use hum bohat se kamo kar sakte hai jaise ki

*Ek jagah se dusre jagah jane ke liye
*Bank , Office , Shop, Hotal , Hospital,          Temple , ATM jaise place kaha hai ye          jaan ne ke liye
*Traffic se bachne ke liye
*Location Dekhne ke liye
*Apne business ko online le jane me

Google Map Se Ek Place Se Dusre Place Kaise Jaye ?
*1.Sabse pahle aap apne smartphone me internet or GPS (Location Services) ko enable kar le uske baad Google map ko open kare ab apko waha uper search karne ka bar dekhno ko milega simply uss par click kare ab apko jaha jana hai uska address type kar search kar le example jaise me New Delhi Jana chahta hu isliye me new delhi search karunga .

*2.Uske baad apko niche ki aur 3 options dekhne ko milega "direction","share"or "save" . Apko Direction par click karna hai

*3.Ab apko Choose Starting point par click karna hai phir apko Your Location par click karna hai ab apko delhi jane ka rasta mil jayega .

*4.Phir uper apko car ka symbol , bike ka symbol dekhne ,train/bus ka symbol or ek admi ka symbol dekhne ko milega or sath hi distance time bhi dekhne ko mil jayega

*5.Agar aap car se safar kar rahe hai to aap car ke symbol par click kar karenge wese hi aap bike se safar kar rahe hai to bike ke symbol par click kar karenge

*6.Click karne ke baad apko kuch second wait karna hai uske baad niche apko Time and Distance Dekhne Ko Mil Jayega or uske just niche STEPS & MORE  or START dekhne ko milega apko START ke nile button par click karna hai

*7.Apko Start wale button par click karna hai ab aap bike ya phir car se drive kar sakte or apko google map apko guide karega ki apko kaha right turn lena kaha left turn kaha sidha jana hai kitna distance bacha hai or kitna time lagega .

Google Map Se Traffic Se Kaise Bache?
Jab aap bike ya phir car drive kar rahe ho or aap traffic se bachna chahte ho to Google map ka use kar sakte ho .

*1.To iske liye apko Google Map ko open karna hai uske baad apko right kone me ek symbol dekhne ko milega usme apko click karna

*2.Ab apko waha Map Type ke niche Default ,Satellite , Terrain, Traffic likha, sath hi symbol bhi dekhne ko milega Just uske niche Map Details ke niche Transit , Tariffc, Bicycling ke sath inke apne apne symbol dekhne ko milega apko Traffic par click karna hai or apko wahi apko traffic ko kis symbol se suchit karte hai wo bhi dekhne ko mil jayega  .jis se aap ye jan jayenge ke tariffc kaha hai

*3.Ab aap jis direction me ja rahe uss direction me dekhe ki traffic hai ya phir nahi Google map dekh samajh jayenge

Google Map Ko Offline Kaise Chaliye?
*1.Sabse pahle Google map ko open kar le uske baad apko left uper kone ke three line (menu) par click karna .

*2.Sileder menu me apko Offline Map ke option par click karna hai

*3.Uske baad apko "SELECT YOUR OWN MAP" par click karna hai .

*4.Ab aap jis area ka offline map chahte hai utna area select kar le or niche apko close or Download ka option dekhne ko mil raha hoga apko simply Download par click karna hai.

*5.apko waha ek pop up tab dekhne ko milega jisme apko "Download Now" par click karna hai uske baad map download hona start ho jayega

*6.Ab jab aap Google map open karenge offline map ka use kar payenge without internet .

Google Map Ko Hindi Language Me Kaise Use Kare?
*1.Google Map ko open karna hai
Uske baad left kone ke three line (menu) par click karna hai

*2.Slider menu ko thoda uper (scroll up) kerenge ab apko waha Settings par click karna hai

*3.Uske baad phir se page ko thoda scroll karna hai niche apko "Navigation Settings" par click kare

*4.Ab apko waha " Voice Selection " par click karna hai uske baad aap apna language choose kar sakte hai apko yaha 72 language ka support mil jayega .

To aaj ke liye bas itna hi agar apko ye jankari aachi lagi to hame comment kare or hamre social site Facebook , Twitter , Instagram ko follow kare . Or agar koi content maine miss kar diya hai to hame comment me bataye .

Post a Comment

0 Comments