Header Ads Widget

Responsive Advertisement

अपना e-adhaar card डाउनलोड करे -अपने स्मार्टफोन या लैपटॉप से

Hello dosto to ajj iss article me Maine ye bataya hai ki kaise aap adhar card ko apne smartphone ya phir apne desktop me download kar sakte ho

Or iske liye kanhi jane ki jarurat nahi , na cyber cafe ya kisi mobile telecom retailer ke pass , aap ghar beithe hi apne desktop ya smartphone se apna adhaar card download kar sakte 

Aap soch rahe honge ki adhaar card download karne ke liye apko apna adhaar card ka 16 digit ka numbar yaad hona chahiye lekin apko chinta nahi karna hai aap bina adhaar card ke 12 digits number ke bhi apne adhaar card ko download kar sakte ho bus apke pass adhaar card se registered mobile ya email id hona chahiye tabhi aap apne adhaar card ko download kar sakte hai .

Adhaar card ko Download karne ke liye niche diye gaye step ko follow kare I'm sure aap apne adhaar card ko download kar loge . 


Agar apke pass smartphone he to chorme browser ko open kar desktop site me kar le or agar aap Computer ya Laptop me adhaar download karna chahte hai to aap bhi chorme browser ko open kar le . 

uske baad chrome browser me "Uidai" search kare , search karne ke baad apko first rank me hi iska website mil jayega simply enter ho Jaye .

Agar apke pass adhaar card ka 12 digits number nahi hai to tabhi isse padhe agar hai to thoda niche jaye:-
Agar apke pass adhaar ka 12 digit number nahi hai to page ko thoda scrolldown  kare yaani thoda niche kare .
Uske baad apko yaha aana hai jo niche tasvir me diya hua hai.
A.
Retieve lost or Forgotten EID UID par click kare
B. Full Name me apna naam dalna hai jo adhaar card me via
C. Adhaar card se link mobile number dalna hai
D. Captcha fill kare
Or Send oto par click kar de .
E.
Apke adhaar se registered Mobile n. Par 6 digit ka otp aayega simply 
OTP bhare 

F.
Uske baad Log in par click kar de abke adhaar se registered mobile number par apka adhaar card 12 digit numbers aa jeyega 

Agar apke pass adhaar card ka 12 digits number hai to direct yaha se follow Kare:-
Enter hone ke baad apko kuchh iss tarah dekhne ko milega jo niche tasvir me hai 
agar apke pass adhaar card ka 12 digit number hai to aap simply "Download Adhaar "  par click kar sakte ho jo .



Click karte hi kuchh iss tarah ka interface dekhne ko milega jo niche ke tasvir main hai . 
1. Apna adhaar card ka 12 digit number Dale.
2.Uske Baad Apko Captcha barna hai .
3.uske baad Send OTP par click karna hai .

Ab apke adhaar se registered mobile number par ek otp aayega . 

Or apko kuchh iss tarah ka interface dekhne ko mil sakta hai jo niche tasvir me hai
4. Apna 12 digit ka adhaar number fill late.

Thoda page ko scroll down kare yaani thoda niche date
4.Uske baad yes ko select kare
5.phir 11-15 days ko select kare
6.or verify and download par click kare

Ab apke smartphone ya desktop me ek pdf file download hona start ho jayega download hone ke baad usse open kare 

Ab apse password liya jayega tabhi aap uss file ko open kar payenge apko kuchh iss tarah password dalna hai jaise mera naam Bablu Saw Hai Or mere Adhaar me year of birth 2002 hai to me password capital letters se "BABL2002"  fill karunga  issi tarah apko capital letters se Apne Naam ka  First four word or adhaar me jo apka year of birth hai wo dalna hai or Ok par click kar dena .

Apko apna adhaar card mil jayega simple printer se adhaar card nikal le.






Post a Comment

0 Comments