Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Top 5 Free Video Editing Software for Laptop/MacOs/Computer

Bohat se log hai jo video editing ke liye alag se paid video editing software ka istemal karte hai Kyuki uske pass paid Software buy karne ke paise hote hai , Lekin kuchh logo ke pass paid video editing software buy karne ke liye paise nahi hote hai .


Or kuchh log yese hote hai jinhe free video editing chaiye hote hai To hello guys mera naam Bablu kr. Or aaj ke iss blog main apka sawagat karta hu to aaj ke iss blog main 5 Video Editing Software Ke Bare Me Baatunga Jinhe Aap Free Main Install Kar Use Kar pawoge Wo Sare Features Iss wale Video Editing Software me mil jayega Jo ek paid Video Editing Software hota hai. Inn Video Editing Software se Aap ek professional Video bana sakte ho .

In Software ka istemal Aap Linex, Windows, MacOS, me aaram se kar sakte hai .To chaliye 5 Free Video Editing Software ko install karte hai . 

Top 5 Free Video Editing Software For Window/MacOs


Openshot:- Openshot Software ek Free Video Editing Software Hai Iss Software main Apko Wo Saari Features Dekhne ko mil jayega jo ek paid video editing software main hota hai, Jaise ki kisi video ko cut (trim) karna, Audio lagna, green screen ke background ko badlna yaani chorm key , 3D Text , 3D Animation or Bohat sare features jinhe yaha batana muskil hai . Iss Software ki baadi khasyat hai yah software , Linex, MacOs, Windows ,Any system main Achha se work karta hai . Ab Rahi baat Openshot Software ko kaise install karte hai to sabse pahle aap Chorm browser ko open kar Search kare Openshot uske baad apko first iss Software ka website mil jayega website me enter ho jaye ab apko waha iss Software ko install karne ka Install Button Mil Jayega Waha se Aap Simply Install Kar sakte hai.



Shotcut:- Shotcut Software Bohat hi achha Free , simple use, Software hai Or iss software me bohat sare features jaise , video contrast, audio mixing, video cutting, chorm key, 4k video or bohat sare feature hai. Jisse aap apne video ko professional bana sakte hai . Shotcut Software ko Windows, MacOs, Main use kar sakte hai. 
Install karne ke liye Google me ja kar search kare Shotcut video editor , pahle number hi iska website mil jayega aap waha se install kar le.




Windows Movie Maker :- Yah Software Khas Unke liye hai Jinhe Video Editing Nahi Aati hai , ya phir unke liye hai jo Video Editing Me Kadam rakhna chahta hai . Windows Movie Maker Software main kuchh khas Features To nahi hai halaki Isme Video Cutting, Audio Lagana, Text Lagana , Photo Lagana or kuchh bache kuchhe features hai . Lekin yah Software Khas kar window computer , laptop ke liye hai . Install karne ke liye chorm browser ko open kar search kare "Windows Movie Maker File hippo" 1st main Hi iss software ka website mil jayega waha se aap simply install kar payoge . 



HitFlimExpress:- Yah Software bhi Free main apko mil jayega Lekin HitFilmExpress ko use karne me kuchh problem ho sakti hai Agar apko iss software ko use karna aata hai to hitfilmexpress software ko install kar sakte ho . Install Karne ke liye Sabse Pahle apne chorm browser open kar HitFilmExpress search kare apko iss Software ka website mil jayega simply uss website se HilFilmExpress Software ko install kar le. iss Software se Aap Professional Video Create Kar Sakte hai Or ek baat HitFilmExpress Windows,MacOs ke liye hai.



iMovie:- Jaisa ki Aap Software ke Naam se samjh gaye honge ki Yah Software Sirf Apple ke desktop, laptops, MacOS me hi work karega or Iss software me bohat sare Features Hai Jis se Aap Professional Video Editing kar sakte hai Ab rahi baat iMovie Software ko kaise install karte hai to sabse pahle Google me ja kar iMovie Search Kare apko first main iss Software ka URL mil jayega waha se aap install kar sakte hai. 



Ummid hai ye blog apke liye fayde mand hua Agar apko ye blog achha laga to comment kare apne dosto ke sath share kare or hamre Social Site Facebook, Twitter, Instagram main follow kare taaki tech se related post ki update hamre social site se mil jaye. 










Post a Comment

0 Comments